Sad Shayari

Aaj halji halki baarish hai

Aaj halji halki baarish hai,
Aaj sard hawa ka raqs bhi hai,
Aaj phoos bhi nikhre nikhre hain,
Aaj un main tumhara aks bhi hai…

Itna aitbaar to apni dhadkanon

Itna aitbaar to apni dhadkanon par bhi humne na kiya,
Jitna aapki baaton par karte hain,
Itna intezar to apni saanson ka bhi na kiya,
Jitna aapke milne ka karte hain…

Woh aate to hai par

Woh aate to hai par samay se nahi,
Woh chalte to par man se nahi,
Kaun kehta hai kee woh payar nahi karte,
Karte to hai par hum sey nahi…

Yeh raat itni tanha kyun

Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte
usi se mohabbat kyun hoti hai…

Unhe chahana hamari kamzori hai

Unhe chahana hamari kamzori hai,
Unse keh nahi pana hamari majburi hai,
Wo kyun nahi samajhte hamari khamoshi ko,
Kya pyaar ka izhaar karna zaruri hai…

Har phool ki ajab kahani

Har phool ki ajab kahani hai,
Chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
Kahi koi zakhm nahi phir bhi kyu yeh ehsas hai,
Lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi us ke paas hai…